awwal to rahe dur wo nalon se hamare pas aae to ghabrae sawalon se hamare ye kahte hain bulbul se wo gul hath mein le kar tu dekh mala kar ise galon se hamare kya barhana-pa dasht mein lakhon bhi na honge kanton ko magar chhed hai chhaalon se hamare har waqt nai dhun hai hamein taza tasawwur jaoge kahan bach ke khayalon se hamare kahti hain wo aankhen saf-e-mizhgan ko badha kar hai kaun jo ru-kash ho risalon se hamare ai 'dagh' falak dushman-e-arbab-e-hunar hai zalim ko khabar ho na kamalon se hamare