barson aankhon mein rahe aankhon se phir kar dil mein aae rah sidhi thi magar pahunche bade chakkar se aap kat gae lakhon gale is tezi-e-raftar se ab to chal nikle ziyaada apne bhi khanjar se aap apne sine se daba dije zara sina mera chur kije shisha-e-dil ko isi patthar se aap hazrat-e-zahid nikal aaya falak par aaftab pir-o-murshid ab to uthiye mai-kade ke dar se aap kyon janab-e-'dagh' yaad-allah meri yaad hai bhes badle raat ko aate the kis ke ghar se aap