awwal to ye dhaj aur ye raftar ghazab hai tis pe tere pazeb ki jhankar ghazab hai kyunkar na tujhe daud ke chhati se laga lun phulon ka gale mein tere ye haar ghazab hai jab dekhun hun karti hai mere dil ko pareshan aashuftagi-e-turra-e-tarrar ghazab hai ai kash ye aankhen mujhe ye din na dikhatin is shauq pe mahrumi-e-didar ghazab hai khurshid ka munh hai ki taraf ho sake us se yani wo bar-afrokhta rukhsar ghazab hai main aur kisi baat ka shaki nahin tujh se ye waqt ke upar tera inkar ghazab hai ab tak haram-e-wasl se mahram na hue hum kabe mein hijab-e-dar-o-diwar ghazab hai gar ek ghazab ho to koi us ko uthawe raftar ghazab hai teri guftar ghazab hai farhad bacha ishq se ne qais na wamiq ji le hi ke jata hai ye aazar ghazab hai ai 'mushafi' is shauq se tuk bach ke tu chalna sunta hai miyan wo but-e-khun-khar ghazab hai