qibla-e-dil kaba-e-jaan aur hai sajda-gah-e-ahl-e-irfan aur hai ho ke khush katwate hain apne gale aashiqon ki id-e-qurban aur hai roz-o-shab yan ek si hai raushni dil ke daghon ka charaghan aur hai khal dikhlati hai phulon ki bahaar bulbulo apna gulistan aur hai qaid mein aaram aazadi wabaal hum giraftaron ka zindan aur hai bahr-e-ulfat mein nahin kashti ka kaam nuh se kah do ye tufan aur hai kis ko andesha hai barq o sail se apna khirman ka nigahban aur hai dard wo dil mein wo sine par hai dagh jis ka marham jis ka darman aur hai kaba-ru mehrab-e-abru ai 'amir' apni taat apna iman aur hai