awwalan us be-nishan aur ba-nishan ko ishq hai baad-azan sar halqa-e-paigham-baran ko ishq hai la-fata-illa-ali hai shan mein jis ki nuzul dostan us shah-e-mardan se jawan ko ishq hai phir jo hai bagh-e-nabuwwat aur imamat ki bahaar ghuncha-e-gul sabza-e-ambar-fishan ko ishq hai arsh o kursi hur o ghilman aur malaek khas o aam aalam-e-baala ke sab bashindagan ko ishq hai hain jo ye chaudah tabaq mutharrik o sakin sada be-sukhan un sab zamin-o-asman ko ishq hai mukhtalif hain aur mile rahte hain baham roz-o-shab khak baad o aatish o aab-e-rawan ko ishq hai hai jahan mein jin se raushan adl ke ghar ka charagh dam-ba-dam un baadshahan-e-jahan ko ishq hai aur khurasan asfahan iran aur turan ko phir hamare gulshan-e-hindostan ko ishq hai hain jahan tak silsile fuqara ke az-kah-ta-bah-mah aarifan aur kaamilan aur aashiqan ko ishq hai koh tharraate hain larzen hain zamin o aasman aashiq-e-maula ki fariyaad-o-fughan ko ishq hai har taraf gulzar hai sabzan aur aab-e-rawan apni nazron mein bahaar-e-gul-fashan ko ishq hai wo jo hain is gulshan-e-hasti mein ab mahw-e-fana un ke aage mausam-e-baad-e-khizan ko ishq hai gard ke manind phirti hain padi udti kharab lut gai dast-e-junun ki karwan ko ishq hai lotte hain mast mai-khane ke dar par ja-ba-ja jam o sahba saqi o pir-e-mughan ko ishq hai kal hi naqsh-e-zaiqa sun kar bhi hum aamil rahe ai azizan is hayat-e-raegan ko ishq hai khilqat-e-kaunain mein kya jin o kya insan 'nazir' wahshi o tair zaban o be-zaban ko ishq hai