dost khush hote hain jab dost ka gham dekhte hain kaisi duniya hai ilahi jise hum dekhte hain dekhte hain jise ba-dida-e-nam dekhte hain aap ke dekhne walon ko bhi hum dekhte hain be-mahal ab to sitamgar ke sitam dekhte hain kaise-kaison ko bure haal mein hum dekhte hain hans ke tadpa de magar ghusse se surat na bigad ye bhi malum hai zalim tujhe hum dekhte hain log kyun kahte hain tu us ko na dekh us ko na dekh hum ko allah dikhata hai to hum dekhte hain bagh ki sair na bazar ki tafrih rahi hum to barson mein kisi din pe qadam dekhte hain lal hire sahi tere lab-e-dandan idhar aa tod lete to nahin hain unhen hum dekhte hain shal hue dast-e-talab bhul gae harf-e-sawal aaj hum hausla-e-ahl-e-karam dekhte hain main tamasha sahi lekin ye tamasha kaisa muft mein log tere zulm-o-sitam dekhte hain aap ki kam-nigahi husn bhi hai aib bhi hai log aisa bhi samajhte hain ki kam dekhte hain hum ko thukraate chalen aap ki mahfil mein adu kya unhen kam nazar aata hai ya kam dekhte hain chaar logon ke dikhane ko to akhlaq se mil aur kuchh bhi nahin duniya mein bharam dekhte hain mera hona bhi na hone ke barabar hai wahan dekhen jo log wajud aur adam dekhte hain aankh mein sharm ka pani magar itna bhi na ho dekh un ko jo teri aankh ko nam dekhte hain ho to jaega tere dekhne walon mein shumar awwal awwal hi magar apne ko hum dekhte hain rasta chalne ki ek chhed thi tu aaqa na aa hum to ye qaul ye wada ye qasam dekhte hain dekhna jurm hua zulm hua qahr hua ye na dekha tujhe kis aankh se hum dekhte hain aankh un ki hai dil un ka hai kaleja un ka raat-din jo mujhe ba-dida-e-nam dekhte hain apna rona bhi safi' ras na aaya hum ko us ko shikwa hai ki aankhen teri nam dekhte hain