azab apne muqaddar mein aur kya hoga khayal-o-khwab mein sadiyon ka fasla hoga wafur-e-baad-e-mukhalif se kanpte hain shajar lachakti shakh se patta koi gira hoga sunaen kis ko ye rudad-e-kawish-e-nakaam ki ye fasana-e-gham to kaha suna hoga hamari bazm-e-basirat hamari sham-e-khayal wo hum nahin jinhen auron ka aasra hoga luta to den isi mahfil mein nur ki saughat yahan pe kaun magar ramz-ashna hoga hai shauq-e-ramz-e-safar aur khayal-e-mishal-e-rah kabhi to nur-e-azal tera samna hoga