fishaar-e-tashwish se ibarat hai kawish-e-zindagi hamari

fishaar-e-tashwish se ibarat hai kawish-e-zindagi hamari
ho kaise tazin fikr-e-nau ki ho kaise jazbon ki aabiyari

ye zakhm kyunkar bharenge aakhir ye dagh kab tak jalenge aakhir
kategi kaise girani-e-shab rahega kab tak ye dard jari

mitaen kaise ye dagh-e-hasrat sameten kaise gul-e-jarahat
hataen kaise ye bhaari patthar yahi hai ab zindagi hamari

ye kya jagah hai ye kya nagar hai ki jis ki har rah pur-khatar hai
ki jis ki nas nas mein shor-o-shar hai ki jis ki manzil azab-o-khwari

hawa mein aahat hai siskiyon ki faza mein bu khun ki basi hai
udas nazron mein bahte sapne dilon mein dahshat ka khauf tari

labon pe mohr-e-sukut hai aur sulagti aankhon mein khuni manzar
lahu mein ghaltan hain khwab sare lagi hai sapne pe zarb-e-kari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close