azab-e-did mein aankhen lahu lahu kar ke main sharmsar hua teri justuju kar ke khandar ki tah se burida-badan saron ke siwa mila na kuchh bhi khazanon ki aarzu kar ke suna hai shahar mein zakhmi dilon ka mela hai chalenge hum bhi magar pairahan rafu kar ke masafat-e-shab-e-hijran ke baad bhed khula hawa dukhi hai charaghon ki aabru kar ke zamin ki pyas usi ke lahu ko chat gai wo khush hua tha samundar ko aabju kar ke ye kis ne hum se lahu ka khiraj phir manga abhi to soe the maqtal ko surkh-ru kar ke julus-e-ahl-e-wafa kis ke dar pe pahuncha hai nishan-e-tauq-e-wafa zinat-e-gulu kar ke ujad rut ko gulabi banae rakhti hai hamari aankh teri did se wuzu kar ke koi to habs-e-hawa se ye puchhta 'mohsin' mila hai kya use kaliyon ko be-numu kar ke