ek nazuk dil ke andar hashr barpa kar diya hae hum ne kyun ye izhaar-e-tamanna kar diya ab nahin hai khushk aankhon mein siwa wahshat ke kuchh intiha-e-gham ne kya dariya ko sahra kar diya un ke dar ko chhod kar dar dar bhatakte hum rahe wahshat-e-dil ne ajab anjam ulta kar diya waswase ummid ke dam se jo the sab mit gae intiha-e-dard ne gham ka mudawa kar diya lab pe luknat aankhon mein wahshat hai chehra zard hai ishtiyaq-e-hur ne zahid ko kaisa kar diya go nahin ummid us se thi inayat ki magar ye tha farz-e-ashiqi hum ne taqaza kar diya ek nizaa-e-mustaqil rahti hai aql-o-shauq mein tark-e-ulfat ne to ab dushwar jina kar diya dil to tha ek qatra-e-khun kya haqiqat us ki thi tere gham ne qulzum-e-zakhkhar jaisa kar diya iftira-o-makr se shayad tujhe milta waqar haq-parasti ne tujhe ai 'kaif' ruswa kar diya