azab kaisa ye utra hai aasmanon se zamin pe khun ki barish hui makanon se yahi hua hai ki phir laut kar nahin aae tuyur shab ko jo nikle the aashiyanon se basiraton ne asar se khabar ko pahchana ye kashtiyan bahut aage hain baadbanon se wahi hai un se mera bod-o-qurb ka rishta zamin ka jaise ta'alluq hai aasmanon se isi liye to ye sar ab kahin nahin jhukta jabin-e-shauq hai mayus aastanon se koi nizam badalna dalil-e-fath nahin ye sanp bhi to hatae koi khazanon se mera khulus bhi mashkuk pyar bhi jhuta jo aaine na tarashun main in chatanon se