aabla-pai gawara khastagi manzur hai puchhna ye hai ki manzil aur kitni dur hai ho wo insan ki khudai ya mashinon ka nizam zad pe istehsal ki mazdur tha mazdur hai mohtasib mahkum hon hakim ho zer-e-ehtisab banda-parwar bas yahi islam ka dastur hai dekhna aaya to naslon tak andhera chha gaya maslahat kahti rahi sab raushni hai nur hai sarhadon par dushmanon ki fauj ghar mein apni fauj sare gulshan ki faza barud se mamur hai barchhiyon ki nok par ailan-e-haq shewa mera fikr ke kheme jalana aap ka manshur hai shahr ke sare ujale justuju-e-nur mein raushni ki har haqiqat aankh se mastur hai zat se ghafil hua taskhir-e-mehr-o-mah mein aadmi apni ana mein kis qadar mahsur hai jurm-e-haq-goi ka hai iqrar us ko barmala manzil-e-dar-o-rasan ka mustahiq 'ashur' hai