azal ke din jinhen dekha tha bazm-e-husn-e-pinhan mein simat aaen wahi ranaiyan taswir-e-jaanan mein mera zauq-e-nazar ab us maqam-e-ashiqi par hai jahan uljha hua hai husn bhi khwab-e-pareshan mein badha de kash koi wusaten anwar-e-mani ki mujhe tarmim karna hai mazaq-e-chashm-e-hairan mein abhi gunjaishen dekhi kahan hain ahl-e-alam ne sama ja ai ajal aa tu bhi khalwat-khana-e-jaan mein har ek tar-e-gareban hasil-e-sad-barq-e-aiman hai khuda-malum kitne husn hain chaak-e-gareban mein khuda rakkhe mere daman mein hai ek phul aisa bhi khatakta hai jo kante ki tarah chashm-e-gulistan mein azal ke roz se arsh-o-malaik sajda karte hain koi to baat hai ai 'arzu' tarkib-e-insan mein