mumkin hai shai wahi ho magar hu-ba-hu na ho reg-e-rawan bhi dekh kahin aabju na ho qaem isi tazad ke dam se hai kaenat main aarzu hun jis ki meri aarzu na ho manzar badal badal ke bhi dekha hai barha jo zakhm ab hai aankh pe shayad rafu na ho sahta raha hun ek tasalsul se is liye ye tut-phut hi meri wajh-e-numu na ho main khud hi bujhne lagta hun jalte hue charagh jis roz teri lau se meri guftugu na ho dekho badal ke zawiya apni nigah ka jo ru-ba-ru nahin hai wahi ru-ba-ru na ho mere wajud se hai ye duniya-e-rang-o-bu lekin mera jahan faqat rang-o-bu na ho mushkil meri hadon ka tayyun hai 'aftab' wo raushni bhi kya hai ki jo chaar su na ho