azal kya ibtida husn-o-mohabbat ke tarane ki

azal kya ibtida husn-o-mohabbat ke tarane ki
abad kya sirf ek badli hui surkhi fasane ki

tadapti bijliyan phir khana-barbaadi ke darpai hain
qafas ki khair yarab ho chuki khair aashiyane ki

hamari zindagi bhi ek fursat thi magar kitni
faqat rang-e-tamanna ke chadhane ya udane ki

qafas ek tar hai tan ek mitti ka gharaunda hai
haqiqat qaid ki ye hai ye hasti qaid-khane ki

wo aankhen dekh kar main kya zamana kahne lagta hai
ki un mein hai jise kahte hain sab gardish zamane ki

hamari zindagi bad-mastiyon ka daur thi 'bekhud'
idhar ho kar nahin nikli tamanna hosh aane ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close