imtihan-o-sabr ki had kyon paDe taKHir mein

imtihan-o-sabr ki had kyon pade takhir mein
jo na likhwae koi likh de meri taqdir mein

khwab-e-hasti dekhne wale the kaise bad-nasib
khwab ka aalam bhi guzra dahshat-e-tabir mein

hashr mein halchal hui qatil ko ghash aane lage
aae wo kuchh be-gunah jakde hue zanjir mein

in nasibon par thi qudrat se ulajhne ki umang
umr bhar choten chalin tadbir aur taqdir mein

aur hi aalam hai kuchh duniya-e-husn-o-ishq ka
hai yahan jo shai bhi hai dubi hui tasir mein

naz sajde mein ada hairat mein jalwe wajd mein
dil ne ye dekha harim-e-dost ki taswir mein

zarre zarre se sada-e-bazgasht aane lagi
aur kya hota asar zalim teri taqrir mein

dil ko paida karke fitrat khud ghazab mein pad gai
mahw hai ikhfa-e-raaz-e-dahr ki tadbir mein

jis mein thin sari khayal-e-yar ki aazadiyan
wo dil-e-ram-afrin jakda raha zanjir mein

kyon kisi ne naqsh-e-ashob-e-tamanna khinch kar
bhar diya majburiyon ka rang har taswir mein

allah allah ek zarre ki bhi had milti nahin
rang ho naqqash ka itna to har taswir mein

pa-e-‘bekhud’ mein kuchh aisi bediyan dali gain
jin se baad-e-hashr bhi chhutna na tha taqdir mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close