azal mein ho na ho ye jalwa-gah-e-ru-e-jaanan tha

azal mein ho na ho ye jalwa-gah-e-ru-e-jaanan tha
ki subh-e-hashr bhi khurshid ka aaina larzan tha

junun ke sar pe jab tak panja-e-wahshat ka saman tha
gareban tha abhi daman abhi daman gareban tha

khuda jaane qafas mein kyon tadap kar mar gai bulbul
ye dekha hai abhi bijli ka rukh su-e-gulistan tha

zamin-o-asman ki qaid kaisi josh-e-wahshat mein
jahan tak bhi nazar pahunchi bayaban hi bayaban tha

falak par naz umadte the zamin se naz ubalte the
wo aalam tha ajab aalam ki jab koi khiraman tha

mere dil ki tarah the chaak donon ishq ke hathon
zulekha ka gareban tha ki wo yusuf ka daman tha

tan-e-murda pe khauf-o-shauq se ye ruh kahti hai
yahi zindan tha ghar apna yahi ghar apna zindan tha

mere jine se maut achchhi qasam hai be-gunahi ki
wahi dil de mujhe ya-rab ki jis mein shauq-e-isyan tha

phiri hai jab kabhi taswir aankhon mein qayamat ki
ye dekha hai ki apne hath mein apna gareban tha

siyahi sham-e-furqat ki simat aai thi aankhon mein
ki roz-e-hashr nazron mein meri sham-e-ghariban tha

lahad se qaid-khane ke bhi qaidi chhut gae lekin
na chhute jis ke qaidi hashr mein bhi dil wo zindan tha

meri nazron mein ab tak hai ye duniya naz ki duniya
hui muddat ki ek andaz se koi khiraman tha

wida-e-yar ki tajdid ke arman se marte hain
wahi saat phir aati jis mein mar jaane ka saman tha

kisi ko pyar aata tha kisi ko haul aate the
main ek khwab-e-pareshan tha mein ek zulf-e-pareshan tha

zarurat aise jalwe ko thi be-shak aise majma ki
khula ab hashr ke wade mein jo kuchh raaz pinhan tha

khayal-o-dil nigah-o-chashm ka aalam hi dekha hai
wo har dam tha mere aaghosh mein har dam gurezan tha

ye kaifiyyat thi in aankhon ki 'bekhud' josh-e-masti mein
ghataen jhukti uthti thin baras padne ka saman tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close