dahr-o-tajalliyat-e-rab ek hain chashm-e-raaz mein jakde hue hain sab ke sab silsila-e-niyaz mein kuchh wo nazar ka taur hai nargis-e-ishwa-saz mein sab ka jahan hi aur hai parda-sara-e-naz mein farq hai ijz-o-naz mein dida-e-imtiyaz mein farq-e-haram-niyaz mein pa-e-haram-nawaz mein mehr-e-abad se kaenat baqqa-e-nur ta-jihat raat hai aur andheri raat chasm-e-sitara-saz mein hae re muntaha-e-shauq dast-e-haya gale ka tauq sar ko hai aastan se zauq us ki harim-e-naz mein zarron ki khutba-khwaniyan balki khuda-bayaniyan uf teri lan-taraniyan khak-e-hama-niyaz mein shakl har ek ujal di baat wahi nikal di shauq ne khak dal di dida-e-imtiyaz mein aur kisi ka zikr kya jab na mujhi pe khul saka dard se mar raha hun ya hasrat-e-chaara-saz mein jo bhi hai khizr-e-rah hai phir bhi ghazab tabah hai ek si aah-ah hai qafila-e-majaz mein subh-e-azal se hashr tak mahw-e-rukua tha falak sajde ki rah gai falak phir bhi dil-e-niyaz mein shauq se kya bichhad gae khel bane bigad gae baal hi baal pad gae aaina-e-niyaz mein sahn-e-zamin makan-e-naz charkh hai aasman-e-naz dahr hai ek jahan-e-naz husn ke daur-e-naz mein chhinte sahab ne diye rah-e-talab mein soz se shoale jahan bhadak uthe barq-e-zabana-taz mein