azal se justuju ki sargirani le ke aaya hun talash-e-husn hai shama-e-jawani le ke aaya hun teri mahfil se hasrat ki nishani le ke aaya hun wafa ki aarzu thi sargirani le ke aaya hun jahan main zauq-e-husn-e-jawedani le ke aaya hun kahan ki kis kharabe mein kahani le ke aaya hun meri hasti zamane ke mitae se nahin mitti azal se main nishan-e-be-nishani le ke aaya hun meri khamosh surat aaina-dar-e-mohabbat hai main aaine se husn-e-be-zabani le ke aaya hun bhadak utthun na khud apni nawa-e-shoala-saman se khas-o-khashak mein shola-bayani le ke aaya hun mohabbat ko to umr-e-jawedan bhi mukhtasar hogi ilahi kya karun main umr-e-fani le ke aaya hun 'zafar' kya tab lae koi tufan-e-mohabbat ki hawa ke samne shama-e-e-jawani le ke aaya hun