koi din aur baad-e-fana hum yahan katte jaise koi saza hum yahan sans ki dor kamzor hoti hui tu kahan hai bata ai hawa hum yahan apni pahchan khud se chhupae hue puchhte phir rahe hain pata hum yahan rah gae khwab aur un ki halki kasak dekhte rah gae ratjaga hum yahan ishq ne barha hum ko ruswa kiya dil ke hathon lute barha hum yahan naqsh tha mit gaya khwab tha bujh gaya kyon khade hain bhala be-nawa hum yahan