aziyyat bhari kab meri zindagi hai

aziyyat bhari kab meri zindagi hai
isi zindagi mein hi tabindagi hai

kai bar is baat ko parkha main ne
takabbur mein poshida sharmindagi hai

musibat mein ghairon ke aae hain jo kaam
ibaadat wahi hai wahi bandagi hai

nahin hai kahin ek dipak bhi raushan
kahin raushni ki hi rakhshandagi hai

zara mangne ka saliqa to jaano
khazane mein us ke nahin kuchh kami hai

ye ek raaz hai kya kisi ko bataun
meri zindagani to farkhandagi hai

har ek sher likhta hai khun-e-jigar se
yahi tere 'sahil' ki diwangi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close