bistar-e-marg par zindagi ki talab

bistar-e-marg par zindagi ki talab
jaise zulmat mein ho raushni ki talab

kal talak kamtari jin ki taqdir thi
aaj un ko hui bartari ki talab

umr bhar apni puja karaata raha
ab hui us ko bhi bandagi ki talab

chikhte the bahut hum har ek baat par
ho gai ab magar khamushi ki talab

pyas duniya ki jis ne bujhai sada
us samundar ko hai tishnagi ki talab

chaar paise jo aae zara hath mein
un ko bhi ho gai rahbari ki talab

dekh kar ye numaish ki duniya 'asad'
hum ne mahsus ki sadgi ki talab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close