aziyyat us ki zehni dur kar de use bhi ai khuda mashhur kar de isi mein fath ka teri hai imkan mujhe ghar mein mere mahsur kar de ye chehre ye fareb-alud chehre inhen koi nazar se dur kar de adab kis ka wahan aadab kaise banawat dil mein jab nasur kar de wahi tazim ke laeq hai 'azhar' jo khud tazim par majbur kar de