banae zehn parindon ki ye qatar mera isi nazare se kuchh kam ho intishaar mera jo main bhi aag mein hijrat ka tajraba karta muhajiron hi mein hota wahan shumar mera phir apni aankhen sajae hue main ghar aaya safar ek aur raha ab ke khush-gawar mera tamam umr to khwabon mein kat nahin sakti bahut dinon to kiya us ne intizar mera ye mera shahr meri khamiyon se waqif hai yahan kisi ko na aaega e'tibar mera ye log sirf meri zindagi ke dushman hain mujassama ye banaenge shandar mera meri bisat se 'azhar' bahut ziyaada thin tawaqquat jo rakhta tha mujh se yar mera