aziyyaton ka naya silsila to hona tha kuchh is liye bhi tujhe ab juda to hona tha ki pahli bar safar aur wo bhi tanha safar ki pash pash mera hausla to hona tha jab ek umr hui tirgi nigalte hue mera charagh se ab samna to hona tha idhar udhar ke sahaaron ne be-sahaara kiya koi na hota jo mera khuda to hona tha tu mere sath agar aise hath na karta main khud ka ho na saka par tera to hona tha ajib shakhs hai ujlat mein kat baitha hai wagarna ped tha aakhir hara to hona tha hamare beach mohabbat shadid thi 'irshad' hamare beach bahut fasla to hona tha