azizo tum na kuchh us ko kaho hua so hua nipat hi tund hai zalim ki khu hua so hua khata se us ki nahin nam ko ghubar-e-malal main ro ro dala hai sab dil se dho hua so hua meri khata ya jafa thi teri ye kya hai zikr hua jo chahiye phir to na ho hua so hua hanse hai dil mein ye na-dardmand sab sun sun to dukh ko ishq ke ai dil na ro hua so hua sitamgaro jo tumhein rahm ki ho kuchh taufiq sitam ki apne talafi karo hua so hua tu kaun hai ki ho milne se ghair kai mane dil us ko hath se apne na kho hua so hua na sarguzisht meri puchh mujh se kuchh ai bakht tu apne khwab-e-faraghat mein so hua so hua mohabbat ek tarah ki niri samajat hai main chhodun hun teri ab justuju hua so hua bayan-e-haal se rukta hai 'hasrat' ab yaro na puchho us se na kuchh tum kaho hua so hua