ab tujh se phira ye dil-e-nakaam hamara us kuche mein kam hi rahega kaam hamara hai sakht mere darpa-e-jaan tera gham-e-hijr jaanan se kahe ja koi paigham hamara jagir mein hai ghair ki wo bosa-e-lab go qaem rahe ye mansab-e-dushnam hamara hone nahin pate ye mere dida-e-tar khushk daulat se teri tar hai sada jam hamara do din mein kisi kaam ka rahne ka nahin tu kuchh tujh se nikal le kabhi to kaam hamara ek roz mila aalam-e-masti mein jo hum se tanha but-e-badmast mai-asham hamara shamshir alam kar ke laga kahne rakhun thor badnam tu karta phire hai nam hamara ayyam ke har zikr se aur fikr se farigh ya ishq hai wird-e-sahar-o-sham hamara hota na farebanda-e-dil kash ke 'hasrat' aaghaz mein ye ishq-e-bad-anjam hamara