azm-e-fariyaad! unhen ai dil-e-nashad nahin maslak-e-ahl-e-wafa zabt hai fariyaad nahin hasil-e-ishq ba-juz khatir-e-nashad nahin ye ghanimat hai ki mehnat meri barbaad nahin ai meri qaid tamanna ke badhane wale ghair-mahdud tere husn ki miad nahin bazm-e-afsana karo khatm jawani guzri qabil-e-zikr ab aage koi rudad nahin maut hai ruh ki mearaj to phir ai 'simab' ye ulu hai meri danist mein uftad nahin