main yun to khwab ki tabir sochta bhi nahin magar wo shakhs mere rat-jagon ka tha bhi nahin mera nasib wo samjha na baat ishaaron ki mera mizaj ki main saf kah saka bhi nahin badi giran hai meri jaan ye kaifiyat mat puchh ki in labon pe gila bhi nahin dua bhi nahin ye zindagi ke taaqub mein roz ka phirna agarche is tarah jine ka hausla bhi nahin ye be-niyaz tabiat ye be-khudi ke rang hum apne aap se khush bhi nahin khafa bhi nahin us ek shakl ko jis din se kho diya hai 'asad' mere dariche se ab chand jhankta bhi nahin