'azm-e-jawan se kaam liya hai kabhi-kabhi suraj ka badh ke jam liya hai kabhi-kabhi paband kar ke dil ka junun ki nigah ko takhil hi se kaam liya hai kabhi-kabhi munh pher kar jahan ke har ek nashat se chupke se gham ka nam liya hai kabhi-kabhi ashk-e-wafa ko kar ke sitaron ka aaina kuchh raushni ka kaam liya hai kabhi-kabhi hum ne zaban se nam tumhaara nahin liya majbur dil ne nam liya hai kabhi-kabhi tar kar ke aansuon se tabassum ke khushk phul khushiyon se intiqam liya hai kabhi-kabhi