ba-adab teri mahfil mein aate rahe sari rasmen wafa ki nibhate rahe surkh phulon se maqtal sajate rahe yunhi lutte rahe jaan lutate rahe apne hathon mein apni saliben liye jitni mohlat mili teri khatir jiye hum to jaanan sar-e-dar bhi lab siye tujh ko dekha kiye muskuraate rahe bazm-gahon mein jitne tamashai the sab ke sab teri aankhon ke shaidai the hum to nadan the hum to saudai the razm-gahon mein aankhen bichhate rahe sab hawale sadaqat ke be-kar the hum ki mansur the hum gunahgar the jab bhi aankhen khulin hum sar-e-dar the zindagi bhar yunhi jagmagate rahe dar ki pahli sidhi pe rakh kar qadam mo'atabar ho gae ek lamhe mein hum hum nibhate rahe wahshaton ka bharam zakhm chunte rahe git gate rahe kisht-e-jaan mein jo boe the aansu kabhi be-panah tazgi un ki faslon mein thi hum pukara kiye zindagi zindagi chashm-e-nam mein diye jhilmilate rahe wo jo har ek zamane mein matub tha wo jo har ek zamane mein maslub tha us musafir ka raqs-e-junun khub tha der tak log qisse sunate rahe