shoala-e-gham ke siwa dakhil nahin pyar ke qabil hamara dil nahin teri surat ko bhulaen kis tarah tu nahin to raunaq-e-mahfil nahin masnad-a-tamir phir un ko na do khak-e-gulshan ke bhi jo qabil nahin aag pani phul patthar rang-o-nur husn ki fitrat mein kya shamil nahin khatm hota hai jahan ye rasta wo bhi hai ek rasta manzil nahin dil hai wo sah le hazaron kulfaten jo kare shikwa wo samjho dil nahin nakhuda le chal mujhe manjdhaar mein mujh ko tufan chahiye sahil nahin azm pukhta ho agar ai 'sarfaraaz' koh-e-gham ko katna mushkil nahin