ba-faiz-e-ishq harf-e-ain par date rahe hain hum shurua se shurua thik bandhte rahe hain hum gali mein koi tha nahin jo kahta jagte raho isi liye tamam raat jagte rahe hain hum bujhe bujhe se is liye ajib lag rahe ho tum bade qarib se ye aag tapte rahe hain hum hamein hai aur dastaras sanam-gari ke kaam par mujassamon ko pattharon mein dhaalte rahe hain hum nikal gaya tha wo hasin apni zulf bandh kar hawa ki baqiyat ko samette rahe hain hum