hairat se dekhta hai mera naqsh-e-pa mujhe yaran-e-tez-gam ye kya ho gaya mujhe khud mere dil mein shauq-e-safar hi nahin raha ab lakh bhejen manzilen apna pata mujhe samjha tha bas hayat ko khwabon ki jalwa-gah ek dil ka dagh kar gaya khud-ashna mujhe pala hai apni god mein tufan ne tujhe ai mauj us ki koi jhalak tu dikha mujhe ye kaun si khalish nikal aai nai nai lagta hai aaj dard-e-jigar kuchh siwa mujhe 'azhar' mere harif the kuchh gham-zada magar the yar khush ki dekh liya dubta mujhe