ba-hama yurish-e-alam-o-sitam zinda hun main mushaf-e-waqt ka ek bab-e-darakhshanda hun main mere sine mein dhadakta hai dil-e-asr-e-rawan is zamane ka mufassir hun numainda hun main main ki haq tha hua har daur mein maslub magar kal bhi painda tha main aaj bhi painda hun main tu tamannai hai ek jannat-e-mauuda ka apni gum ki hui firdaus ka joinda hun main mere zakhmon se huwaida hai hina-bandi-e-gul ek nawed-e-chaman-arai-e-ainda hun main madh-khwan-e-shab-e-tarik mujhe kya samjhe subh-e-gul-rez ke naghmon ka nawisanda hun main ye jahan kaise faramosh karega mujh ko is ke aflak ka ek 'khawar'-e-tabinda hun main