jo milne aata hai mil kar juda bhi hota hai wo khush-mizaj hai lekin khafa bhi hota hai wo bhul baithe nasha kar ke apni daulat ka nasha koi bhi ho ek din hua bhi hota hai kabhi kabhi hi sahi jeb bhaari hoti hai kabhi kabhi to ye banda khuda bhi hota hai main is hasin ko ye baat kaise samjhaun jo behtarin hai us se siwa bhi hota hai tumhaari baat ka main ne bura kahan mana jo apna hota hai us se gila bhi hota hai kisi mariz se kahna ki aap achchhe hain ye baat kahne ka matlab dawa bhi hota hai ye baat mere siwa jaanta nahin koi ki us ki baat mein gahra nasha bhi hota hai kabhi jo galiyan de man to ye samajh lena ki us ki gali ka matlab dua bhi hota hai