ba-har-alam barabar likh raha hun main pyasa hun samundar likh raha hun sadaf andar sadaf the jo maani unhen gauhar-ba-gauhar likh raha hun nahin ye shairi hargiz nahin hai main khud apna muqaddar likh raha hun har ek tifl-e-qalam ye sochta hai main kal duniya se behtar likh raha hun nazar aati nahin jo dil ki duniya use manzar-ba-manzar likh raha hun mai-lab se mujhe khush karne walo tumhaare nam kausar likh raha hun jo masti hai mera maqsum 'sahba' use saghar-ba-saghar likh raha hun