har nae sal naya ped laga deta hun aur be-khanuman chidiyon ko bata deta hun roz sunta hun main bargad se purane qisse aur use apni kahani bhi suna deta hun roz ek daur ki aawaz thaharti hai yahan aur main aawaz mein aawaz mila deta hun mangne qarz nikal jata hun ham-sayon se aur bistar pe sawali ko lita deta hun dil ko puri tarah hone nahin deta barbaad dukh ke phailaw ko main khud hi ghata deta hun chahta hun teri taswir banana lekin main kisi aur ki taswir bana deta hun jab nazar aata hai apne siwa rah-gir koi ek diya aur sar-e-rah jala deta hun