ba jazb-e-dil ba-naz-e-agahana

ba jazb-e-dil ba-naz-e-agahana
jabin hai be-niyaz-e-astana

salamat apna soz-e-baghiyana
banega bijliyon mein aashiyana

jhukenge chand suraj mere aage
uthegi jab nigah-e-ghaziyana

chaman hi ke badal den kyon na dastur
qafas ko kya banaen aashiyana

hain sab parchhaiyan azm-o-amal ki
bigadta hai na banta hai zamana

khudi-o-be-khudi donon hain dhoke
na ho jab tak nigah-e-arifana

haqiqat ko ziyaada chhanne se
haqiqat bhi na ban jae fasana

zamin ko hum mila denge falak se
jab utthenge ba-zo'm-e-shairana

parakh leta hun har achchhe bure ko
'shifa' nazren hain meri naqidana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close