abhi ek aas hai saqi ki daur-e-jam aata hai ulat den mai-kada rindon ko ye bhi kaam aata hai kuchh is tarkib se ab aashiyan aabaad hote hain ki barbaadi ka khud apne hi sar ilzam aata hai ye kya bad-nazmiyan hain tere maikhane mein ai saqi kisi ke nam ka saghar kisi ke nam aata hai mere ashkon se nisbat kya tabassum ko tere lekin shaguft-e-gul ka kuchh shabnam pe bhi ilzam aata hai kahan ki yaad kis ka zikr un ki bazm-e-rangin mein hamara nam bhi ab to barae-nam aata hai khuda shahid ki dil se to khuda ka nam leta hun magar lab par jab aata hai tumhaara nam aata hai adab se arsh-e-azam bhi jhuka deta hai sar apna harim-e-quds mein insan ka jab nam aata hai 'shifa' ye inqalab ek imtihan hai ahl-e-ulfat ka hamein ye dekhna hai kaun kis ke kaam aata hai