ba-juz andoh-o-gham kya aur hijr-e-yar mein dekha

ba-juz andoh-o-gham kya aur hijr-e-yar mein dekha
yahi paya yahi har kucha-o-bazar mein dekha

jamal-e-haq to husn-e-qamat-e-dildar mein dekha
jalal-e-khaliq-e-akbar nigah-e-yar mein dekha

idhar dil se chale aur us taraf bahne lage aansu
ye tufan dard-o-gham ka chashm-e-dariya-bar mein dekha

namak chhidka ba-jae marham-e-kafur qatil ne
jarahat ka maza kya zakhm-e-daman-dar mein dekha

kisi pahlu kisi karwat na chain aaya na nind aai
ye andaz-e-sitam tir-e-jigar-afgar mein dekha

kaleja kyon na phat jae hamara is musibat par
ki apne lakht-e-dil ka dida-e-khunbar mein dekha

abas tum dhundte ho dida-e-bimar mein aansu
lahu kuchh bhi mere jism-e-nahif-o-zar mein dekha

rahe aansu na jab baqi to tukde dil ke bah nikle
ghazab ka ye tamawwuj dida-e-khunbar mein dekha

nuqush-o-ma’ani-e-quran tariq-e-kafir-o-momin
ye sab kuchh aap ke khal-o-khat-e-rukhsar mein dekha

gire hum misl-e-musa wadi-e-ulfat mein ghash khakar
jamal-e-haq jo husn-e-qamat-e-dildar mein dekha

ajab kya hai bahaar aai ho phir sehn-e-gulistan mein
ki hum ne phul ai bulbul teri minqar mein dekha

sanbhalna ho gaya dushwar mujh ko aur ai 'hamid'
jo dil ko nok-e-tegh-e-abru-e-khummar mein dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close