hamari arz-e-matlab par tera bezar ho jaana zara si baat par aamada-e-paikar ho jaana kisi ke ishq mein dil ka kabhi bimar ho jaana kabhi aankhon ka apni talib-e-didar ho jaana teri aankhon ka aankhon se hamari chaar ho jaana ye goya hoga barchhi ka jigar se par ho jaana mera dil halqa-e-zulm-o-sitam se chhut sake kyunkar mizha ki jumbihson ka gardish-e-parkar ho jaana kisi se bhul kar ek bar bhi milna qayamat hai kisi par aap ka lutf-o-karam sau bar ho jaana tajjub kuchh nahin is par ki shauq-e-did-e-jaanan mein meri aankhon ka su-e-rauzan-e-diwar ho jaana nahin hai ye karishma husn ka to aur phir kya hai teri mahfil mein mera dafatan bimar ho jaana kamal-e-husn ko jab hai zawal-e-husn bhi lazim to kya dushwar hai phir in gulon ka khar ho jaana zara dekho udhar mina udhar saghar udhar khum hai ghata utthi hai kali mai-kasho hushiyar ho jaana zamane ki nai baaton mein shamil ye bhi hai zahid ki rahn-e-mai tumhaara jubba-o-dastar ho jaana sahar chaunkae jis dam khwab se ai qafile walo wahin kas kar kamar chalne ko tum tayyar ho jaana gulistan se nikal kar ye sharaf pana zahe-qismat gulon ka mah-jabinon ke gale ka haar ho jaana tasawwur bhi mujhe mizhgan-o-abru ka qayamat hai kabhi to tir ban jaana kabhi talwar ban jaana mohabbat ka karishma tha tasawwur ki inayat thi hamara dafatan mahw-e-khayal-e-yar ho jaana jise dekho wahi ab aarzu-mand-e-shahadat hai ghazab hai abru-e-khamdar ka talwar ho jaana bahut kuchh saqi-e-bazm-e-azal ki mehrbani thi hamara jazba-e-tauhid se sarshaar ho jaana dil-e-pur-shauq ko tadpa gaya kuchh aur ai 'hamid' haya ka anjuman mein mana-e-guftar ho jaana