ba-juz ishq ke aur aazar hota main apni nigahon mein khud khwar hota meri rae se gar banata mujhe main na majbur hota na mukhtar hota ba-andaz-e-digar hamein waz karta agar aap waiz khatawar hota use kuchh to mazlum ka dard hota sitamgar said-e-sitamgar hota ghalat-fahmiyan mai ke bare mein mittin agar shaikh-e-shahr aap mai-khwar hota na daulat thi mushkil na shohrat thi mushkil wale jina ghairat se dushwar hota gunah karta 'diwana' main chhup ke dar ke khud apni nazar mein gunahgar hota sanwara khudi ko use bech khaya khuda-dar hota to khuddar hota