aastan-e-haram pe la dala kaam kar hi gai buton se yas hum ne paya hai pariyon ko hairan hum ne dekha hai gulshanon ko udas apne mahaul par asar-andaz kyon na mard-e-niko ki ho bu-bas daur-e-nau rahbar nae dhundhe khizr hai kaam ka na aaj ilyas chaar-diwari ek neamat-e-jaan apna ghar apne waste ruhtas taza pani gharib ko hai sharab jam-e-jam se nahin kam us ko tas is imarat ne umr pai tawil rast buniyaad thi jo sidq-ehsas kha gai mujh ko teri bhuki nigah zal-e-duniya tera ho satyanas