ba-juz mata-e-dil-e-lakht-lakht kuchh bhi nahin meri nigah mein tadbir-o-bakht kuchh bhi nahin guzarte waqt ki surat harif bhi na rahe buri nigah na lahje karakht kuchh bhi nahin masafaton ki ghani dhup mein hain tanha hum hamari rah mein sae darakht kuchh bhi nahin main naqsh-o-rang ki duniya luta ke aaya hun meri nigah main ab taj-o-takht kuchh bhi nahin hamein 'rais' jo lute to koi kya lute hamare pas to ab saz-o-rakht kuchh bhi nahin