ba-qadr-e-josh-e-junun tar tar bhi na kiya wo pairahan jise nazr-e-bahaar bhi na kiya koi jawab hai is tarz-e-dil-rubai ka sukun bhi lut liya be-qarar bhi na kiya dil-e-kharab sar-e-ku-e-yar le aaya khayal-e-gardish-e-lail-o-nahaar bhi na kiya guzar gaya yunhi chup-chap karwan-e-bahaar nawed-e-gul bhi na di dil-figar bhi na kiya khayal-e-khatir-e-ahbab aur kya karte jigar pe zakhm bhi khae shumar bhi na kiya