ek zamin-doz aasman hun main han meri jaan be-nishan hun main mujh ko tauhid ho chuki azbar la-makan ka naya makan hun main dast-e-qudrat ki shah-kari ka khud mein aabaad ek jahan hun main kab se aamada sajda-rezi par aab-o-gil hi ke darmiyan hun main maut se kahiye aae fursat mein abhi masruf-e-imtihan hun main kis tarah se bane ziyaada baat zarra-e-kun hun kam-zaban hun main lau se bahti hui ziya ho tum lau se uthta hua dhuan hun main jaise tu mera raaz-e-pinhan hai aise hi tera raaz-dan hun main jis se larzan hai pattharon ka wajud aaina-zad wo fughan hun main maut to kab ki mar chuki lekin bazm-e-imkan mein jawedan hun main tum tasalsul nai bahaaron ka aur ujdi hui khizan hun main teri yaadon ka is mein dosh nahin be-sabab aaj nim-jaan hun main