ba-qaid-e-waqt ye muzhda suna raha hai koi

ba-qaid-e-waqt ye muzhda suna raha hai koi
ki inqalab ke parde mein aa raha hai koi

khudi ko rah-e-khudai pe la raha hai koi
abhi dimagh-e-bashar aazma raha hai koi

jahan kharaba-e-hasti mita raha hai koi
wahin kahin nai duniya bana raha hai koi

abhi naqab-kushai-e-husn hai dushwar
wahi uthe hue parde utha raha hai koi

jo zehn mein hai wo taswir ban nahin chukti
bana bana ke hayule mita raha hai koi

bhula raha hai kisi ko tu bar-bina-e-maal
ye ghaur kar ki bhulaya bhi ja raha hai koi

dil-e-fasurda ki baaton pe ye tabassum-e-naz
kali ko phul banana sikha raha hai koi

wafa ki dad hai kotahi-e-wafa ki dalil
main jaanta hun ki himmat badha raha hai koi

hadis-e-kohna hai rudad-e-inqilab-e-chaman
suni hui si kahani suna raha hai koi

meri wafaon ka hai e'tiraf mere baad
khosha-nasib mujhe kho ke pa raha hai koi

hai apne sae se wahshat mein kis qadar taskin
samajh raha hun mere sath aa raha hai koi

nasib-e-zauq ho 'simab' qismat-e-musa
hamein bhi tur ki jaanib bula raha hai koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close