wo jo surat thi sath sath kabhi surkh mahke gulab ki surat us ki yaaden utarti rahti hain zehn-o-dil pe azab ki surat ye rawayya sahi nahin hota yun hamein kashmakash mein mat dalo ya hamein sach ki tarah apna lo ya bhula bhi do khwab ki surat us ne an-dekha an-suna kar ke be-talluq kiya hai to ab hum us ki taswir se nikalenge aansuon ke hisab ki surat apni jhuti ana ki baaton mein aa ke us ko sula to baithe hain ab hain sahraon ke musafir hum aur wo surat sarab ki surat