ba-rang-e-bu-e-gul us bagh ke hum aashna hote ki hamrah-e-saba tuk sair karte phir hawa hote sarapa aarzu hone ne banda kar diya hum ko wagarna hum khuda the gar dil-e-be-muddaa hote falak ai kash hum ko khak hi rakhta ki is mein hum ghubar-e-rah hote ya kasu ki khak-e-pa hote ilahi kaise hote hain jinhen hai bandagi khwahish hamein to sharm daman-gir hoti hai khuda hote tu hai kis nahiye se ai dayar-e-ishq kya jaanun tere bashindagan hum kash sare bewafa hote ab aise hain ki sanea ke mizaj upar baham pahunche jo khatir-khwah apne hum hue hote to kya hote kahin jo kuchh malamat gar baja hai 'mir' kya jaanen unhen malum tab hota ki waise se juda hote